Domain Name, Selling and Buying Best Idea Online

Domain Name, Selling and Buying best Idea online

Domain Name, Selling and Buying The Best Business Idea

Aslamualekum Friends! Aj ham apko Domain name selling business karne ka treeqa bataey gey, kaisey ap domain name buy and sell kar saktey hn. R Lakhon rupey kama saktey hn G han dosto ye sach hai. Domain Name

Domain Name Kia hai?

Friends sab se pahley jan letey hn k Domain Name kisey kehtey hn r ye kesey kam karta hai.
Friends jis tarah ap koi Business start karte hn for exaple koi bhi aisa kam jo ap public k samney ho k krte hn us k liey apko apni pahchan rakhney k liey ik name rakhna hota hai,

Main apko desi language me samjhata hun.

jaisey k Tassawer Jnrl Store, Ayub Cosmatics, Nayaab Property, QMobile, Iphone. Zee Computers etc.
Friends isi tarah jab koi internet pe business start klarta hai ya apni koi Website banata hai to usey us ka name rakhna hota hai ta k koi bhi Google pe usey search kar sakey. R wo jo bhi name letey hn usey Domain name kaha jata hai.

Domain Name, Selling and Buying

Domain Name Itna q Zaroori hai?

Friends aj k waqt me jesey jesey ap dekh rahey hn k technology barh rahi hai wahey pe business fast hogia hai r logo k pas itna time nahi raha k wo bari bari markets ka visit karey r ik product leney k liey ghanton zaya kar den ya koi bhi maloomat leney k liey Laibraries me jaey r bari mushkil se ja k kuch maloom kar paey. Q k internet pe ye sab hojata hai kuch hi minutes main. Or ap apni marzi se apni bat ko maloom kar saktey hn. Ap simple maloom karne k liey Google open karte hn r apni bat type kar detey hn r Google Baba apko sab bata detey hn.😍

Domain Name ka Business kaisey karey?

Friend umeed karta hu k ab tak apko Domain Name ki tamam maloomat hogai hon gi chalo ab chaltey hn apney main topic ki taraf k ap ye business kesey karey gey.
Friends sab se pahley apko Doman name hasil karna hoga r ye ap ik se ziada bhi le saktey hn. Or is k liey aj k waqt me buht c websites mojood hn jo apko domain name provide karte hn. Ap simple un websites pe account create krte hn r apni marzi ka domain name search krte hn agar wo available hua to ap buy kar saktey hn. ab wo domain name apkey account me ajaey ga jo account ap us website pe create karey gey.
Friends agar ap Domain name ka business karna start kar rahe hn to apko ik bat ka khayal rakhna hoga k ap wo name chose karey jo simple e easy ho matlab short ho. jesa ka Facebook, Goto, hamtum, seekho, fiverr, earnmoney, j5, weebley etc.
Matlab k apko asaan lafz hi search karne hn ta k apkey domain name asaani se sell hojaey r costumers ko pasand ajaey.
Yahan pe main apko ik r bat ki taraf bhi tawajo dilana chahu ga k ap koshish kije k jo domain bhi buy karey wo low price me ho ta k ap ki investment km se km ho r wo domain (.com) pe hona chahey q k .com domain Top level domain hota hai r har shaks yehi pasand karta hai.

Domain Name, Selling and Buying

Domain Name kahan pe sell karey r kitne main sell hoga?

Friends ab ye bat ghor se parhey!
Friends domain name sell karne k liey apko ziada pareshan honey ki zaroorat nahi hoti q k jo doamain name ap jahan se buy karte hn ap wohi domain name usi website pe apni marzi ki price laga k sell bhi kar saktey hn is k liey wo websites thora sa comission len gi jo ziada nahi hota.
Us k ilawa ap domain name khud se bhi sell kar saktey hn jaisa k apne facebook account pe whatsapp se apne facebook page se, instagram se ya apni website pe. Ap ko aisey websites bhi mil jati hn jahan pe domain name ko log sell karte hn, jaisa k (namepros) namepros ik website hai jahan log domain name selling ka business krte hn.

Ab dosto apko ik zabardast bat bata dun jo ap ne sochi bhi na hogi. r wo ye k Domain Name Hazaro se le kar lakhon me sell hotey hn r kabhi kabhi to is se bhi ziada.
Ye depend karta hai k apka domain kitna acha r unique hai r domain name leney waley ko uski kitni zaroorat hai.
Jab koi Business Man apni ik company banata hai r us me Lakhon ki investment kar deta hai magar jab wo apney Business ki website bananey lagta hai to usey pata chalta hai k uskey business k name ka jo Domain hai wo apkey pas hai to wo zaroor lega r us waqt ap apni marzi ki qeemat wasool kar saktey hn.

Ye kam bilkul aisa hai jaisey ap koi property letey hn k future me is zameen ki qeemat barh jaey gi r jab uski qeemat barhti hai ya  kisi ko uski zaroorat parti hai to ap apni marzi ki qeemat wasool karte hn.
Mujhey itna kuch likhne k bawajood bhi lag raha hai k abhi bhi apkey mind me buht sawal mojood hon gey q k pahli bar itna kuch mere liey bhi kafi na tha r mjhe bhi maloom karne pe mazeed intrest hua.

Domain Name, Selling and Buying

Chalo maloom kar letey hn.

Friends jab ap domain buy kar len gey to Domain Nmae Value Checker se apni domain ki value bhi check kr saktey hn k ab apki domain ki market value kitni hai.
Dosto ye business is liey bhi acha ha q k rozana lakhon log internet pe kam start kar rahe hn r apney business k names buy kar rahey hn magar jaisey jaisey kam barh raha hai wesey wesey domain names bhi book hotey jarahe hn r logon ko ziada qeemat pe domain leney hi partey hn.
Ap bhi der mat kije.

Domain Name kahan se len?

Friends wesey to buht c websites hn jahan se ap domain name le saktey hn magar yahan pe main apko 2 websites suggest karu ga q k wo is waqt world level pe acha kam kar rahi hn r 99% log unhi pe trust bhi karte hn.
  1. GODADDY
  2. NAMECHEAP
Friends agar domain name k business k barey koi sawal ho to ap hamse comments me pooch saktey hn

No comments:

Thank you for your feedback.

Powered by Blogger.